Doma.pk is Premium Source of Urdu Poetry and Urdu Quotes. It’s in this post that you find New Father Poetry in Urdu for Daughter and Son. We also Added Sad and Love Father Poetry in Urdu. It’s a good thing that you can read, download images, and copy the poetry text in free of cost. Please share our poetries with your friends and family members, too!
Scroll Down For Father Poetry in Urdu

Aik Hazaar Muhabbaten Mila Kar
Aik Baap Ke Qadmon Ki Dhool Pay Qurban Kar Di Jayen
To Bhi Is Dhool Ki Qeemat Ada Nahi Ho Paati
ایک ہزار محبتیں ملا کر
ایک باپ کے قدموں کی دھول پہ قربان کر دی جائیں
تو بھی اس دھول کی قیمت ادا نہیں ہو پاتی

Mujh Ko Chaon Mein Rakha Aur Khud Jalta Raha Dhoop Mein
Mein Ne Dekha Hai Ek Farishta Baap Ke Roop Mein
مجھ کو چھاؤں میں رکھا اور خود جلتا رہا دھوپ میں
میں نے دیکھا ہے اک فرشتہ باپ کے روپ میں

Mujhe Zameen Ke Tole O Arz Se Kya Lena
Meri Duniya To Faqat Baap Ke Saaye Jitni
مجھے زمین کے طول و عرض سے کیا لینا
میری دُنیا تو فقط باپ کے سائے جتنی

Mumkin Hota Agar Kisi Ko Umar Lagana
To Mein Apni Har Saans apne Baba Ke Naam Likhti
ممکن ہو تا اگر کسی کو عمر لگانا
تومیں اپنی ہر سانس اپنے بابا کے نام لکھتی

Juri Hai Uski Har Aik Haan Meri Haan Se
Yeh Baat Sach Hai Mera Baap Kam Nahi Meri Maa Se
جڑی ہے اسکی ہر ایک ہاں میری ہاں سے
یہ بات سچ ہے میرا باپ کم نہیں میری ماں سے

Baap Ki Mojoodgi Sooraj Ke Manind Hoti Hai
Sooraj Garam Toh Zaroor Hota Hai
Magar Sooraj Nahi Ho To Andhera Cha Jata Hai
باپ کی موجودگی سورج کے مانند ہوتی ہے
سورج گرم تو ضرور ہوتا ہے
مگر سورج نہ ہو تو اندھیر اچھا جاتا ہے

Is Khayaal Ne Dil Mein
Hazaron Chhaid Kar Daaley
Ke Aap Nahi Hain Baba
اس خیال نے دل میں
ہزاروں چھید کر ڈالے
کہ آپ نہیں ہیں بابا

Yeh Aziat Hai Aur Musalsal Hai Baba
Aap Ko Dekh Nahi Sakte, Sun Nahi Paate
یہ اذیت ہے اور مسلسل ہے بابا
آپ کو دیکھ نہیں سکتے، سن نہیں پاتے

Likhte Likhte Qalam Hi Sookh Gaya
Mere Baap Ki Tareefon Ka Bhi Jawab Nahi
لکھتے لکھتے قلم ہی سوکھ گیا
میرے باپ کی تعریفوں کا بھی جواب نہیں

Kahan Se Dhoond Ke Lau Ae Dil To Bta
Woh Pyar, Woh Shafqat, Woh Saya, Woh Baba Jani
کہاں سے ڈھونڈ کے لاؤں اے دل تو بتا
وہ پیار، وہ شفقت ، وہ سایہ ، وہ بابا جانی

Un Ke Hone Se Bakht Hotay Hain
Baap Ghar Ke Darakht Hotay Hain
ان کے ہونے سے بخت ہوتے ہیں
باپ گھر کے درخت ہوتے ہیں

Aur Jab Hum Mohabbat Ki Baat Karte Hain To
Pehla Lafz Baap Ki Mohabbat Se Shuru Hota Hai
اور جب ہم محبت کی بات کرتے ہیں تو
پہلا لفظ باپ کی محبت سے شروع ہوتا ہے

Betiyon Ki Umeedon Pay Faqat Baap Poora Utarta Hai
Yeh Kisi Aur Ke Bas Ki Baat Nahi Hai
بیٹیوں کی امیدوں پہ فقط باپ پورا اترتا ہے
یہ کسی اور کے بس کی بات نہیں ہے

Baap Ke Baray Kaha Jata Hai Ke Baap Woh Hasti Hai
Jis Se Sitaray Mango To Poora Aasman Utha Lata He
باپ کے بارے کہا جاتا ہے کہ باپ وہ ہستی ہے
جس سے دوستارے مانگو تو پورا آسمان اٹھا لاتا ھے

Maal Zindagi Ki Tareek Raahon Mein Roshni Ka Minaar Hai
Aur Baap Thokron Se Bachanay Wala Mazboot Sahara
ماں زندگی کی تاریک راہوں میں روشنی کا مینار ہے
اور باپ ٹھوکروں سے بچانے والا مضبوط سہارا

Jaib Khalee Ho Phir Bhi Mana Nahi Karta
Baap Se Ameer Shakhs Dekha Nahi Mein Ne
جیب خالی ہو پھر بھی منع نہیں کرتا
باپ سے امیر شخص دیکھا نہیں میں نے
5 comments
That’s Really awesome Poetry about parents
I Really Love This Parents Poetry
Wah jee Wah very nice.
You’re doing such a great job. Keep it up my friend.